loading...

Whatsapp Jokes in Hindi -2

Baat hui nu ak , ek din ek angrej aa gya Rohtak mah ,
ar fal fruit khreedan chala gya , Dukaandar tha desi aadmi 5-7 class padh rahya tha.
Angrej gaya uski dukaan mah ar haath mah aamb le kah bolya "what is this" Dukaandaar bhi maada samajah gaya aur bolya Mangio, Yu aamb sah.

Angrej bolys , this is very small, humaare desh me bahut bada bada aamb milta.
Dukaandaar chupp
Pher angrej nah tha liya Santra , aur bolya " what is this" Dukandaar bolya , yu hai santra

Angrej pher bolya this is very small , Humaare desh me bahut bade bade orange milte hain.
Dukandaar chupp.

Angrej anh pher tha liya Kela ar bolya what is this, Dukaan daar bolya Kela  Angrej bolya "This is very smaal" Humaare desh me bahut bada bada banana milta.

Dukaandaar bhaaj kah aapni dukaan mah badd gya aur sab tah bada tarbooj tha laaya...Ar bolya angrej tah .... Balya dekh , yu sah mahre desh ka Angroor ar jah thare desh mah is tah badda ho tah bata diye......




===============================

Ek baar ek school mai ek ae peshabkhana tha lekin balak usme bhi peshab karne naa jaate. 
Saare diwar ki taraf moohn karte or peshab karne laag jaate.
Ek din head master ne parathna me sabko kaha ki koi bhi ladka diwar ke pas peshab nahin karega or agar eisa karte paayaa gaaya to usko pakad kar peshabkhane me choda jaayegaa.
Lekin peshab khana ek hi tha es se kuch master abhi bhi peshabkhane me jaane ki baajaaye abhi bhi diwar ke pass peshab karte the.
Ek din Headmaster bhi gaya..diwar ki taraff moohn kiya or peshab karke vapis jaavan laagyaa.
Raldu dekhai tha err jaise hi lagyaa ki head master gayaa jaat uthaa err diwar ke pass peshab karne laagyaa.
Head master ka dhyan jaande jaande us pai pad gayaa.
Head master ne jatt Raldu ko bulaya...err kaha....kyoon Raldu diwar ke pass peshab karne se manaa kiya tha phir wahan kyon gayaa.
Raldu nai sidha sadha javab diya..masterji aap bhi to abhi wahin peshab kar ke aaye the.
Head master nai bahana doonda eerr bolya..main to head master hoon.
Raldu bolya...masterji headmaster hovan tain ke peshab main tain kushboo aavan laag jaa sai.




====================================

Ek bai k hoya k ek gaam mai ek numberdaar mar gya....
arr 4-5 chhorre the uskai..
wo chhota chhora kehan laag gya...Maa...ibb numberdaar kon banega..
Maa nu boli k ibb bhai wo Amar singh ban jyaga..
chhora::: ak wo bhi mar gya tai
......Maa::: fer phoole ban jyaga...
chhora::: ak wo bhi mar gya tai...
Maa::: tai fer chatru ban jyaga...
chhora::: ak wo bhi mar gya tai...

Maa::: dhed..kanne...Tyaun.....chahe saara gaam mar jao....par tu na bane...

No comments:

Post a Comment

loading...